Apne shishe mein agar khud ko utara hota,
Kuchh tazurbon ka mere kahan guzara hota !
Chand zinda hai sitaron ki badaulat ab bhi,
Mar gaya hota akela jo bechara hota !
Rat tanhayi ki khud hi to chuni thi hamne,
Ab kahan kaisa koi dost hamara hota !
Sath dene ke liye log bahut mil jate,
Dil-e-tanha ne jo ek bar pukara hota !
Zindagi apni badi mauj mein katati yaro,
Seem-o-zar hamko agar jaan se pyara hota !
Is tarah khwar na hota main jahan ke hathon,
Kash! hamraz na apna wo sitara hota !
Azm pe apne yaqeen mujhko bahut hai phir bhi,
Chahta hun ki koi aur sahara hota !
Yun to jee lete hain har lamha teri yad ke sath,
Kaisa hota jo sanam sath hamara hota !
Beech apne na ye mazhab ki rawayat hoti,
Pak ya Hind kya, sara sansar hamara hota !
No comments:
Post a Comment