Sunday, May 17, 2009

main nazar se pee rahaa hoon


main nazar se pee rahaa hoon ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahein kaheen raat Dhal na jaaye

mere ashk bhi hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
mera jaam chhoone vaale teraa haath jal na jaaye

abhi raat kuchh hai baaqi na utha naqaab saaqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jaaye

meri zindagi ke malik mere dil pe haath rakhna
tere aane ki Khushi mein mera dam nikal na jaaye

mujhe phookne se pahle mera dil nikaal lena
ye kisi ki hai amanat kahin saath jal na jaaye



By Janaab Anwar Mirzapuri

No comments:

Post a Comment