Saturday, August 8, 2009

उन के बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते...

अब छलकते हुए सागर नहीं देखे जाते
तौबा के बाद ये मंज़र नहीं देखे जाते

मस्त कर के मुझे औरों को लगा मूँह साकी
ये करम होश में रह कर नहीं देखे जाते

साथ हर एक को इस राह में चलना होगा
इश्क में रहज़न-ओ-रहबर नहीं देखे जाते

हम ने देखा है ज़माने का बदलना लेकिन
उन के बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते...





Ab chhalakte huye sagar nahin dekhe jate
Touba ke bad ye manzar nahin dekhe jate

Mast kar ke mujhe auron ko laga munh saki
Ye karam hosh mein reh kar nahin dekhe jate

Sath har ek ko is rah mein chalna hoga
Ishk men rahajan-o-rahbar nahin dekhe jate

Ham ne dekha hai zamane ka badalna lekin
Un ke badle huye tevar nahin dekhe jate...

No comments:

Post a Comment